ko be-naquab hona tha
aap apna jawaab hona tha
mast-e-jaam-e-sharaab hona tha
be-khud-e-iztiraab hona tha
teri aankhon ka kuchh qusoor nahi
han mujhi ko kharaab hona tha
aao mil jaao muskura ke gale
ho chuka jo itaab hona tha
koocha-e- mein nikal aaya
jis ko khana-kharaab hona tha
mast-e-jaam-e-sharaab khaak hote
gharque-e-jaam-e-sharaab hona tha
dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rang
us ko saada kitaab hona tha
ham ne naakaamiyon ko dhoond liya
aakhirash kaamyaab hona tha
haae wo lamha-e-sukoon ki jise
mahshar-e-iztiraab hona tha
nigah-e-yaar khud tadap uthti
shart-e-awwal kharaab hona tha
kyoon na hota sitam bhi be-paayan
karam-e-be-hisaab hona tha
kyoon nazar hairton mein doob gai
mauj-e-sad-iztiraab hona tha
ho chuka roz-e-awwalin hi jigar
jis ko jitna kharaab hona tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai