-e-la-mahdood jab tak rahnuma hota nahi
se zindagi ka haque ada hota nahi
be-karan hota nahi be-intiha hota nahi
quatra jab tak badh ke qulzum-aashna hota nahi
us se badh kar dost koi doosra hota nahi
sab juda ho jaaein lekin gham juda hota nahi
zindagi ik haadsa hai aur kaisa haadsa
maut se bhi khatm jis ka silsila hota nahi
kaun ye naaseh ko samjhaae b-tarz-e-dil-nashin
ishq saadique ho toh gham bhi be-mazaa hota nahi
dard se maamoor hoti ja rahi hai kaaenaat
ik dil-e-insan magar dard-aashna hota nahi
mere arz-e-gham pe wo kahna kisi ka haae haae
shikwa-e-gham shewa-e-ahal-e-wafa hota nahi
us maquam-e-qurb tak ab ishq pahuncha hi jahan
deeda-o-dil ka bhi aksar waasta hota nahi
har quadam ke saath manzil lekin is ka kya ilaaj
ishq hi kam-bakht manzil-aashna hota nahi
allaah allaah ye kamaal aur irtibaat-e-husn-o-ishq
faasle hon laakh dil se dil juda hota nahi
kya quayaamat hai ki is daur-e-taraqqui mein jigar
aadmi se aadmi ka haque ada hota nahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai