ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simte toh -e-aashique phaile toh zamaana hai
ye kis ka tasawwur hai ye kis ka fasaana hai
jo ashk hai aankhon mein tasbeeh ka daana hai
sang-e-malaamat ka har-chand nishaana hai
dil phir bhi mira dil hai dil hi toh zamaana hai
ham ishq ke maaron ka itna hi fasaana hai
rone ko nahi koi hansane ko zamaana hai
wo aur wafa-dushman maanenge na maana hai
sab dil ki sharaarat hai aankhon ka bahaana hai
shaair hoon main shaair hoon mera hi zamaana hai
fitrat mira aaeena qudrat mira shaana hai
jo un pe guzarti hai kis ne use jaana hai
apni hi museebat hai apna hi fasaana hai
kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai
ham khaak-nasheenon ki thokar mein zamaana hai
aaghaaz-e-mohabbat hai aana hai na jaana hai
ashkon ki hukoomat hai aahon ka zamaana hai
aankhon mein nami si hai chup chup se wo baithe hain
naazuk si nigaahon mein naazuk sa fasaana hai
ham dard-b-dil naalan wo dast-b-dil hairan
ai ishq toh kya zaalim tera hi zamaana hai
yaa wo the khafa ham se yaa ham hain khafa un se
kal un ka zamaana tha aaj apna zamaana hai
ai ishq-e-junoon-pesha han ishq-e-junoon-pesha
aaj ek sitamgar ko hans hans ke rulaana hai
thodi si ijaazat bhi ai bazm-gah-e-hasti
aa nikle hain dam-bhar ko rona hai rulaana hai
ye ishq nahi aasan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai
khud husn-o-shabaab un ka kya kam hai raqueeb apna
jab dekhiye ab wo hain aaeena hai shaana hai
tasweer ke do rukh hain jan aur gham-e-jaanan
ik naqsh chhupaana hai ik naqsh dikhaana hai
ye husn-o-jamaal un ka ye ishq-o-shabaab apna
jeene ki tamannaa hai marne ka zamaana hai
mujh ko isi dhun mein hai har lahza basar karna
ab aae wo ab aae laazim unhein aana hai
khuddaari-o-mahroomi mahroomi-o-khuddaari
ab dil ko khuda rakkhe ab dil ka zamaana hai
ashkon ke tabassum mein aahon ke tarannum mein
masoom mohabbat ka masoom fasaana hai
aansoo toh bahut se hain aankhon mein jigar lekin
bandh jaae so moti hai rah jaae so daana hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai