fikr-e- hai na hosh-e-jaada-e-manzil mujhe
ja raha hoon jis taraf le ja raha hai mujhe
ab zaban bhi de ada-e-shukr ke quabil mujhe
dard bakhsha hai agar tu ne bajaae-dil mujhe
yoon tadap kar dil ne tadpaaya sar-e-mahfil mujhe
us ko quatil kahne waale kah uthe quatil mujhe
ab kidhar jaaoon bata ai jazba-e-kaamil mujhe
har taraf se aaj aati hai sada-e-dil mujhe
rok sakti ho toh badh kar rok le manzil mujhe
har taraf se aaj aati hai sada-e-dil mujhe
jaan di ki hashr tak main hoon miri tanhaaiyan
han mubaarak fursat-e-nazzaara-e-quatil mujhe
har ishaare par hai phir bhi gardan-e-tasleem kham
jaanta hoon saaf dhoke de raha hai dil mujhe
ja bhi ai naaseh kahan ka sood aur kaisa ziyan
ishq ne samjha diya hai ishq ka haasil mujhe
main azal se subh-e-mahshar tak farozan hi raha
husn samjha tha charaagh-e-kushta-e-mahfil mujhe
khoon-e-dil rag rag mein jam kar rah gaya is waham se
badh ke seene se na lipta le mira quatil mujhe
kaisa quatra kaisa dariya kis ka toofan kis ki mauj
tu jo chaahe toh dubo de khushki-e-saahil mujhe
phoonk de ai ghairat-e-soz-e-mohabbat phoonk de
ab samajhti hain wo nazrein raham ke quabil mujhe
tod kar baitha hoon raah-e-shauque mein pa-e-talab
dekhna hai jazba-e-be-taabi-e-manzil mujhe
ai hujoom-e-naa-umeedi shaad-baash-o-zinda-baash
tu ne sab se kar diya begaana-o-ghaafil mujhe
dard-e-mahroomi sahi ehsaas-e-naakaami sahi
us ne samjha toh bahar-soorat kisi quabil mujhe
ye bhi kya manzar hai badhte hain na rukte hain quadam
tak raha hoon door se manzil ko main manzil mujhe
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai