duniyaa ke sitam na apni hi wafa yaad
ab mujh ko nahi kuchh bhi mohabbat ke siwa
main shikwa b-lab tha mujhe ye bhi na raha yaad
shaayad ki mire bhoolne waale ne kiya yaad
chheda tha jise pahle-pahal teri nazar ne
ab tak hai wo ik naghma-e-be-saaz-o-sada yaad
jab koi hasin hota hai sargarm-e-nawaazish
us waqt wo kuchh aur bhi aate hain siwa yaad
kya jaaniye kya ho gaya arbaab-e-junoon ko
marne ki ada yaad na jeene ki ada yaad
muddat hui ik haadsa-e-ishq ko lekin
ab tak hai tire dil ke dhadakne ki sada yaad
han han tujhe kya kaam miri shiddat-e-gham se
han han nahi mujh ko tire daaman ki hawa yaad
main tark-e-rah-o-rasm-e-junoon kar hi chuka tha
kyoon aa gai aise mein tiri laghzish-e-pa yaad
kya lutf ki main apna pata aap bataaoon
keeje koi bhooli hui khaas apni ada yaad
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai