mein kisi ke raah kiye ja raha hoon main
kitna hasin gunaah kiye ja raha hoon main
duniyaa-e- tabaah kiye ja raha hoon main
sarf-e-nigaah-o-aah kiye ja raha hoon main
fard-e-amal siyaah kiye ja raha hoon main
rahmat ko be-panaah kiye ja raha hoon main
aisi bhi ik nigaah kiye ja raha hoon main
zarron ko mehar-o-maah kiye ja raha hoon main
mujh se lage hain ishq ki azmat ko chaar chaand
khud husn ko gawaah kiye ja raha hoon main
daftar hai ek maani-e-be-lafz-o-saut ka
saada si jo nigaah kiye ja raha hoon main
aage quadam badhaaein jinhein soojhta nahi
raushan charaagh-e-raah kiye ja raha hoon main
maasoomi-e-jamaal ko bhi jin pe rashk hai
aise bhi kuchh gunaah kiye ja raha hoon main
tanqueed-e-husn maslahat-e-khaas-e-ishq hai
ye jurm gaah gaah kiye ja raha hoon main
uthti nahi hai aankh magar us ke roo-b-roo
naadeeda ik nigaah kiye ja raha hoon main
gulshan-parast hoon mujhe gul hi nahi azeez
kaanton se bhi nibaah kiye ja raha hoon main
yoon zindagi guzaar raha hoon tire baghair
jaise koi gunaah kiye ja raha hoon main
mujh se ada hua hai jigar justujoo ka haque
har zarre ko gawaah kiye ja raha hoon main
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai