gaya raunaque-e-hayaat gai
gaya saari kaaenaat gai
dil dhadakte hi phir gai wo nazar
lab tak aai na thi ki baat gai
din ka kya zikr teera-bakhton mein
ek raat aai ek raat gai
teri baaton se aaj toh waaiz
wo jo thi khwaahish-e-najaat gai
un ke bahlaae bhi na bahla dil
raaegan sai-e-iltifaat gai
marg-e-aashique toh kuchh nahi lekin
ik maseeha-nafas ki baat gai
ab junoon aap hai gareban-geer
ab wo rasm-e-takallufaat gai
ham ne bhi waz-e-gham badal daali
jab se wo tarz-e-iltifaat gai
tark-e-ulfat bahut baja naaseh
lekin us tak agar ye baat gai
han maze loot le jawaani ke
phir na aaegi ye jo raat gai
han ye sarshaariyan jawaani ki
aankh jhapki hi thi ki raat gai
jalwa-e-zaat ai maaaz-allaah
taab-e-aaeena-e-sifaat gai
nahi milta mizaaj-e-dil ham se
ghaaliban door tak ye baat gai
quaid-e-hasti se kab najaat jigar
maut aai agar hayaat gai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai