daastaan-e--e-dil un ko sunaai na gai
baat bigdi thi kuchh aisi ki banaai na gai
sab ko ham bhool gae josh-e-junoon mein lekin
ik tiri thi aisi jo bhulaai na gai
ishq par kuchh na chala deeda-e-tar ka quaboo
us ne jo aag laga di wo bujhaai na gai
pad gaya husn-e-rukh-e-yaar ka partaw jis par
khaak mein mil ke bhi is dil ki safaai na gai
kya uthaaegi saba khaak miri us dar se
ye quayaamat toh khud un se bhi uthaai na gai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai