be-kaif hai aur jiye ja raha hoon main
khaali hai sheesha aur piye ja raha hoon main
paiham jo aah aah kiye ja raha hoon main
daulat hai zakat diye ja raha hoon main
majboori-e-kamaal-e-mohabbat toh dekhna
jeena nahi qubool jiye ja raha hoon main
wo dil kahan hai ab ki jise pyar keejiye
majbooriyan hain saath diye ja raha hoon main
rukhsat hui shabaab ke hamraah zindagi
kahne ki baat hai ki jiye ja raha hoon main
pahle sharaab zeest thi ab zeest hai sharaab
koi pila raha hai piye ja raha hoon main
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai