baraabar se bach kar guzar jaane waale
ye naale nahi be- jaane waale
nahi jaante kuchh ki jaana kahan hai
chale ja rahe hain magar jaane waale
mire ki betaabiyan bhi liye ja
dabe paanw munh pher kar jaane waale
tire ik ishaare pe saakit khade hain
nahi kah ke sab se guzar jaane waale
mohabbat mein ham toh jiye hain jiyenge
wo honge koi aur mar jaane waale
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai