allaah agar taufeeque na de insaan ke bas ka kaam nahi
faizaan-e-mohabbat aam sahi irfaan-e-mohabbat aam nahi
ye tu ne kaha kya ai naadan fayyaazi-e-qudrat aam nahi
tu fikr o toh paida kar kya cheez hai jo inaaam nahi
yaa-rab ye maquam-e-ishq hai kya go deeda-o- naakaam nahi
taskeen hai aur taskeen nahi aaraam hai aur aaraam nahi
kyoon mast-e-sharaab-e-aish-o-tarab takleef-e-tawajjoh farmaaein
aawaaz-e-shikast-e-dil hi toh hai aawaaz-e-shikast-e-jaam nahi
aana hai jo bazm-e-jaanan mein pindaar-e-khudi ko tod ke aa
ai hosh-o-khirad ke deewaane yan hosh-o-khirad ka kaam nahi
zaahid ne kuchh is andaaz se pi saaqui ki nigaahein padne lagin
mai-kash yahi ab tak samjhe the shaaista daur-e-jaam nahi
ishq aur gawaara khud kar le be-shart shikast-e-faash apni
dil ki bhi kuchh un ke saazish hai tanha ye nazar ka kaam nahi
sab jis ko aseeri kahte hain wo toh hai ameeri hi lekin
wo kaun si aazaadi hai yahan jo aap khud apna daam nahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai