ai -e-yaar sharm ye kya inqalaab hai
tujh se ziyaada tira kaamyaab hai
aashique ki be-dili ka taghaaful nahi jawaab
us ka bas ek josh-e-mohabbat jawaab hai
teri inaaytein ki nahi nazr-e-jan qubool
teri nawaazishein ki zamaana kharaab hai
ai husn apni hausla-afzaaiyan toh dekh
maana ki chashm-e-shauque bahut be-hijaab hai
main ishq-e-be-niyaaz hoon tum husn-e-be-panaah
mera jawaab hai na tumhaara jawaab hai
maikhaana hai usi ka ye duniyaa usi ki hai
jis tishna-lab ke haath mein jaam-e-sharaab hai
us se dil-e-tabaah ki roodaad kya kahoon
jo ye na sun sake ki zamaana kharaab hai
ai mohatsib na phenk mire mohatsib na phenk
zaalim sharaab hai are zaalim sharaab hai
apne hudood se na badhe koi ishq mein
jo zarra jis jagah hai wahin aaftaab hai
wo laakh saamne hon magar is ka kya ilaaj
dil maanta nahi ki nazar kaamyaab hai
meri nigaah-e-shauque bhi kuchh kam nahi magar
phir bhi tira shabaab tira hi shabaab hai
maanoos-e-etibaar-e-karam kyoon kiya mujhe
ab har khata-e-shauque isi ka jawaab hai
main us ka aaeena hoon wo hai mera aaeena
meri nazar se us ki nazar kaamyaab hai
tanhaai-e-firaaque ke qurbaan jaaiye
main hoon khayaal-e-yaar hai chashm-e-pur-aab hai
sarmaaya-e-firaaque jigar aah kuchh na poochh
ab jaan hai so apne liye khud azaab hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai