ab toh ye bhi nahi raha ehsaas
hota hai yaa nahi hota
jab tak na kar chuke ruswa
aadmi kaam ka nahi hota
toot padta hai dafaatan jo ishq
besh-tar der-pa nahi hota
wo bhi hota hai ek waqt ki jab
ma-siwa ma-siwa nahi hota
haae kya ho gaya tabeeat ko
gham bhi raahat-faza nahi hota
dil hamaara hai yaa tumhaara hai
ham se ye faisla nahi hota
jis pe teri nazar nahi hoti
us ki jaanib khuda nahi hota
main ki be-zaar umr bhar ke liye
dil ki dam-bhar juda nahi hota
wo hamare quareeb hote hain
jab hamaara pata nahi hota
dil ko kya kya sukoon hota hai
jab koi aasra nahi hota
ho ke ik baar saamna un se
phir kabhi saamna nahi hota
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai