aankhon ka tha qusoor na ka qusoor tha
aaya jo mere saamne mera ghuroor tha
taareek misl-e-aah jo aankhon ka tha
kya subh hi se shaam-e-bala ka zuhoor tha
wo the na mujh se door na main un se door tha
aata na tha nazar toh nazar ka qusoor tha
har waqt ik khumaar tha har dam suroor tha
botal baghal mein thi ki dil-e-naa-suboor tha
koi toh dardamand-e-dil-e-naa-suboor tha
maana ki tum na the koi tum sa zaroor tha
lagte hi thes toot gaya saaz-e-aarzoo
milte hi aankh sheesha-e-dil choor choor tha
aisa kahan bahaar mein rangeeniyon ka josh
shaamil kisi ka khoon-e-tamannaa zaroor tha
saaqui ki chashm-e-mast ka kya keejiye bayaan
itna suroor tha ki mujhe bhi suroor tha
palti jo raaste hi se ai aah-e-naa-muraad
ye toh bata ki baab-e-asar kitni door tha
jis dil ko tum ne lutf se apna bana liya
us dil mein ik chhupa hua nashtar zaroor tha
us chashm-e-mai-farosh se koi na bach saka
sab ko b-quadar-e-hausla-e-dil suroor tha
dekha tha kal jigar ko sar-e-raah-e-mai-kada
is darja pi gaya tha ki nashshe mein choor tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai