aaj kya haal hai yaarab sar-e-mahfil mera
ki nikaale liye jaata hai koi mera
soz-e- dekh na barbaad ho haasil mera
dil ki tasweer hai har aaeena-e-dil mera
subh tak hijr mein kya jaaniye kya hota hai
shaam hi se mire quaboo mein nahi dil mera
mil gai ishq mein iza-talbi se raahat
gham hai ab jaan miri dard hai ab dil mera
paaya jaata hai tiri shokhi-e-raftaar ka rang
kaash pahloo mein dhadakta hi rahe dil mera
haae us mard ki quismat jo hua dil ka shareek
haae us dil ka muqaddar jo bana dil mera
kuchh khatakta toh hai pahloo mein mire rah rah kar
ab khuda jaane tiri yaad hai yaa dil mera
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje
ik aag ka dariya hai aur Doob ke jaana hai
un ka jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaanein
mera paighaam mohabbat hai jahaan tak pahunche
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
ham ko miTa sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin
dil ko sukoon rooh ko aaraam aa gaya
maut aa gayi ki dost ka paighaam aa gaya
tabiyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai
mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai