kya hai ik kahaani hai
ye kahaani nahi sunaani hai
hai bhi ajeeb yaani jo
na zameeni na aasmaani hai
hai mire shauque-e-wasl ko ye gila
us ka pahloo sara-e-faani hai
apni taameer-e-jaan-o-dil ke liye
apni buniyaad ham ko dhaani hai
ye hai lamhon ka ek shahar-e-azal
yan ki har baat naa-gahaani hai
chaliye ai jaan-e-shaam aaj tumhein
shama ik quabr par jalaani hai
rang ki apni baat hai warna
aakhirash khoon bhi toh paani hai
ik abas ka wajood hai jis se
zindagi ko muraad paani hai
shaam hai aur sahan mein dil ke
ik ajab huzan-e-aasmaani hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
bas ik ghubaar taur guman ka hai tah b tah
yaani nazar bhi kuchh nahi manzar bhi kuchh nahi
hai ab toh ek jaal sukoon hameeshgi
parwaaz ka toh zikr hi kya par bhi kuchh nahi
kitna daraaؤna hai ye shahar nabod w bood
aisa daraaؤna ki yahan dar bhi kuchh nahi
pahloo mein hai jo mere kahin aur hai wo shakhs
yaani wafa ahad ka bistar bhi kuchh nahi
nisbat mein un ki jo hai aziyyat wo hai magar
shah rag bhi koi shay nahi aur sar bhi kuchh nahi
yaaran tumhein jo mujh se gila hai toh kis liye
mujh ko toh atraaz khuda par bhi kuchh nahi