tumhaara mana loon agar ijaazat ho
main kisi se laga loon agar ijaazat ho
tumhare baad bhala kya hain waada-o-paiman
bas apna waqt ganwa loon agar ijaazat ho
tumhare hijr ki shab-ha-e-kaar mein jaanan
koi charaagh jala loon agar ijaazat ho
junoon wahi hai wahi main magar hai shahar naya
yahan bhi shor macha loon agar ijaazat ho
kise hai khwaahish-e-marham-gari magar phir bhi
main apne zakhm dikha loon agar ijaazat ho
tumhaari yaad mein jeene ki aarzoo hai abhi
kuchh apna haal sambhaaloon agar ijaazat ho
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
bas ik ghubaar taur guman ka hai tah b tah
yaani nazar bhi kuchh nahi manzar bhi kuchh nahi
hai ab toh ek jaal sukoon hameeshgi
parwaaz ka toh zikr hi kya par bhi kuchh nahi
kitna daraaؤna hai ye shahar nabod w bood
aisa daraaؤna ki yahan dar bhi kuchh nahi
pahloo mein hai jo mere kahin aur hai wo shakhs
yaani wafa ahad ka bistar bhi kuchh nahi
nisbat mein un ki jo hai aziyyat wo hai magar
shah rag bhi koi shay nahi aur sar bhi kuchh nahi
yaaran tumhein jo mujh se gila hai toh kis liye
mujh ko toh atraaz khuda par bhi kuchh nahi