rooh pyaasi kahan se aati hai
ye udaasi kahan se aati hai
hai wo yak-sar supurdagi toh bhala
bad-hawaasi kahan se aati hai
wo ham-aaghosh hai toh phir mein
naa-shanaasi kahan se aati hai
ek zindaan-e-be-dili aur shaam
ye saba si kahan se aati hai
tu hai pahloo mein phir tiri khushboo
ho ke baasi kahan se aati hai
hai shab-sokhta siwaae ummeed
tu nida si kahan se aati hai
main hoon tujh mein aur aas hoon teri
toh niraasi kahan se aati hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
bas ik ghubaar taur guman ka hai tah b tah
yaani nazar bhi kuchh nahi manzar bhi kuchh nahi
hai ab toh ek jaal sukoon hameeshgi
parwaaz ka toh zikr hi kya par bhi kuchh nahi
kitna daraaؤna hai ye shahar nabod w bood
aisa daraaؤna ki yahan dar bhi kuchh nahi
pahloo mein hai jo mere kahin aur hai wo shakhs
yaani wafa ahad ka bistar bhi kuchh nahi
nisbat mein un ki jo hai aziyyat wo hai magar
shah rag bhi koi shay nahi aur sar bhi kuchh nahi
yaaran tumhein jo mujh se gila hai toh kis liye
mujh ko toh atraaz khuda par bhi kuchh nahi