khoob hai shauque ka ye pahloo bhi
main bhi barbaad ho gaya tu bhi
-e-maghmoom tamaknat mein tiri
farque aaya na yak-sar-e-moo bhi
ye na socha tha zer-e-saaya-e-zulf
ki bichhad jaaegi ye khush-boo bhi
kahta tha chhedne waale
chhedna hi toh bas nahi chhoo bhi
haae wo us ka mauj-khez badan
main toh pyaasa raha lab-e-joo bhi
yaad aate hain mojize apne
aur us ke badan ka jaadoo bhi
yaasmin us ki khaas mahram-e-raaz
yaad aaya karegi ab tu bhi
yaad se us ki hai mira parhez
ai saba ab na aaiyo tu bhi
hain yahi jaun-eliya jo kabhi
sakht maghroor bhi the bad-khoo bhi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
bas ik ghubaar taur guman ka hai tah b tah
yaani nazar bhi kuchh nahi manzar bhi kuchh nahi
hai ab toh ek jaal sukoon hameeshgi
parwaaz ka toh zikr hi kya par bhi kuchh nahi
kitna daraaؤna hai ye shahar nabod w bood
aisa daraaؤna ki yahan dar bhi kuchh nahi
pahloo mein hai jo mere kahin aur hai wo shakhs
yaani wafa ahad ka bistar bhi kuchh nahi
nisbat mein un ki jo hai aziyyat wo hai magar
shah rag bhi koi shay nahi aur sar bhi kuchh nahi
yaaran tumhein jo mujh se gila hai toh kis liye
mujh ko toh atraaz khuda par bhi kuchh nahi