juz guman aur tha hi kya mera
faquat ik mera naam tha mera
nikhat-e-pairhan se us ki
silsila be-saba raha mera
mujh ko khwaahish hi dhoondane ki na thi
mujh mein khoya raha mera
thook de khoon jaan le wo agar
aalam-e-tark-e-muddaa mera
jab tujhe meri chaah thi jaanan
bas wahi waqt tha kada mera
koi mujh tak pahunch nahi paata
itna aasaan hai pata mera
aa chuka pesh wo murawwat se
ab chaloon kaam ho chuka mera
aaj main khud se ho gaya maayoos
aaj ik yaar mar gaya mera
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
bas ik ghubaar taur guman ka hai tah b tah
yaani nazar bhi kuchh nahi manzar bhi kuchh nahi
hai ab toh ek jaal sukoon hameeshgi
parwaaz ka toh zikr hi kya par bhi kuchh nahi
kitna daraaؤna hai ye shahar nabod w bood
aisa daraaؤna ki yahan dar bhi kuchh nahi
pahloo mein hai jo mere kahin aur hai wo shakhs
yaani wafa ahad ka bistar bhi kuchh nahi
nisbat mein un ki jo hai aziyyat wo hai magar
shah rag bhi koi shay nahi aur sar bhi kuchh nahi
yaaran tumhein jo mujh se gila hai toh kis liye
mujh ko toh atraaz khuda par bhi kuchh nahi