ik hunar hai jo kar gaya hoon main
sab ke se utar gaya hoon main
kaise apni hansi ko zabt karoon
sun raha hoon ki ghar gaya hoon main
kya bataaoon ki mar nahi paata
jeete-ji jab se mar gaya hoon main
ab hai bas apna saamna dar-
har kisi se guzar gaya hoon main
wahi naaz-o-ada wahi ghamze
sar-b-sar aap par gaya hoon main
ajab ilzaam hoon zamaane ka
ki yahan sab ke sar gaya hoon main
kabhi khud tak pahunch nahi paaya
jab ki wan umr bhar gaya hoon main
tum se jaanan mila hoon jis din se
be-tarah khud se dar gaya hoon main
koo-e-jaanan mein sog barpa hai
ki achaanak sudhar gaya hoon main
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
bas ik ghubaar taur guman ka hai tah b tah
yaani nazar bhi kuchh nahi manzar bhi kuchh nahi
hai ab toh ek jaal sukoon hameeshgi
parwaaz ka toh zikr hi kya par bhi kuchh nahi
kitna daraaؤna hai ye shahar nabod w bood
aisa daraaؤna ki yahan dar bhi kuchh nahi
pahloo mein hai jo mere kahin aur hai wo shakhs
yaani wafa ahad ka bistar bhi kuchh nahi
nisbat mein un ki jo hai aziyyat wo hai magar
shah rag bhi koi shay nahi aur sar bhi kuchh nahi
yaaran tumhein jo mujh se gila hai toh kis liye
mujh ko toh atraaz khuda par bhi kuchh nahi