iza-dahi ki daad jo paata raha hoon main
har naaz-aafrin ko sataata raha hoon main
ai khush-khiraam paanw ke chhaale toh gin zara
tujh ko kahan kahan na phiraata raha hoon main
ik -e-be-misaal ki tamseel ke liye
parchhaaiyon pe rang giraata raha hoon main
kya mil gaya zameer-e-hunar bech kar mujhe
itna ki sirf kaam chalaata raha hoon main
roohon ke parda-posh gunaahon se be-khabar
jismon ki nekiyan hi ginaata raha hoon main
tujh ko khabar nahi ki tira karb dekh kar
aksar tira mazaaque udaata raha hoon main
shaayad mujhe kisi se mohabbat nahi hui
lekin yaqueen sab ko dilaata raha hoon main
ik satr bhi kabhi na likhi main ne tere naam
paagal tujhi ko bhi aata raha hoon main
jis din se etimaad mein aaya tira shabaab
us din se tujh pe zulm hi dhaata raha hoon main
apna misaaliya mujhe ab tak na mil saka
zarron ko aaftaab banaata raha hoon main
bedaar kar ke tere badan ki khud-aaghi
tere badan ki umr ghataata raha hoon main
kal dophar ajeeb si ik be-dili rahi
bas teeliyan jala ke bujhaata raha hoon main
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
bas ik ghubaar taur guman ka hai tah b tah
yaani nazar bhi kuchh nahi manzar bhi kuchh nahi
hai ab toh ek jaal sukoon hameeshgi
parwaaz ka toh zikr hi kya par bhi kuchh nahi
kitna daraaؤna hai ye shahar nabod w bood
aisa daraaؤna ki yahan dar bhi kuchh nahi
pahloo mein hai jo mere kahin aur hai wo shakhs
yaani wafa ahad ka bistar bhi kuchh nahi
nisbat mein un ki jo hai aziyyat wo hai magar
shah rag bhi koi shay nahi aur sar bhi kuchh nahi
yaaran tumhein jo mujh se gila hai toh kis liye
mujh ko toh atraaz khuda par bhi kuchh nahi