haalat-e-haal ke sabab haalat-e-haal hi gai
shauque mein kuchh nahi gaya shauque ki gai
tera firaaque jaan-e-jan aish tha kya mire liye
yaani tire firaaque mein khoob sharaab pi gai
tere wisaal ke liye apne kamaal ke liye
haalat-e- ki thi kharaab aur kharaab ki gai
us ki umeed-e-naaz ka ham se ye maan tha ki aap
umr guzaar deejiye umr guzaar di gai
ek hi haadsa toh hai aur wo ye ki aaj tak
baat nahi kahi gai baat nahi suni gai
baad bhi tere jaan-e-jan dil mein raha ajab saman
yaad rahi tiri yahan phir tiri yaad bhi gai
us ke badan ko di numood ham ne sukhan mein aur phir
us ke badan ke waaste ek quaba bhi si gai
meena-b-meena mai-b-mai jaam-b-jaam jam-b-jam
naaf-piyaale ki tire yaad ajab sahi gai
kahni hai mujh ko ek baat aap se yaani aap se
aap ke shahar-e-wasl mein lazzat-e-hijr bhi gai
sehan-e-khayaal-e-yaar mein ki na basar shab-e-firaaque
jab se wo chaandana gaya jab se wo chaandani gai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
bas ik ghubaar taur guman ka hai tah b tah
yaani nazar bhi kuchh nahi manzar bhi kuchh nahi
hai ab toh ek jaal sukoon hameeshgi
parwaaz ka toh zikr hi kya par bhi kuchh nahi
kitna daraaؤna hai ye shahar nabod w bood
aisa daraaؤna ki yahan dar bhi kuchh nahi
pahloo mein hai jo mere kahin aur hai wo shakhs
yaani wafa ahad ka bistar bhi kuchh nahi
nisbat mein un ki jo hai aziyyat wo hai magar
shah rag bhi koi shay nahi aur sar bhi kuchh nahi
yaaran tumhein jo mujh se gila hai toh kis liye
mujh ko toh atraaz khuda par bhi kuchh nahi