ne wafa ke naam par kaar-e-wafa nahi kiya
khud ko halaak kar liya khud ko fida nahi kiya
kheera-saraan-e-shauque ka koi nahi hai jumba-daar
shahar mein is giroh ne kis ko khafa nahi kiya
jo bhi ho tum pe motriz us ko yahi jawaab do
aap bahut shareef hain aap ne kya nahi kiya
nisbat ilm hai bahut haakim-e-waqat ko azeez
us ne toh kaar-e-jahal bhi be-ulma nahi kiya
jis ko bhi shaikh o shaah ne hukm-e- diya quaraar
ham ne nahi kya wo kaam han b-khuda nahi kiya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
bas ik ghubaar taur guman ka hai tah b tah
yaani nazar bhi kuchh nahi manzar bhi kuchh nahi
hai ab toh ek jaal sukoon hameeshgi
parwaaz ka toh zikr hi kya par bhi kuchh nahi
kitna daraaؤna hai ye shahar nabod w bood
aisa daraaؤna ki yahan dar bhi kuchh nahi
pahloo mein hai jo mere kahin aur hai wo shakhs
yaani wafa ahad ka bistar bhi kuchh nahi
nisbat mein un ki jo hai aziyyat wo hai magar
shah rag bhi koi shay nahi aur sar bhi kuchh nahi
yaaran tumhein jo mujh se gila hai toh kis liye
mujh ko toh atraaz khuda par bhi kuchh nahi