bahut ko kushaada kar liya kya
zamaane bhar se waada kar liya kya
toh kya sach-much judaai mujh se kar li
toh khud apne ko aadha kar liya kya
hunar-mandi se apni ka safha
miri jan tum ne saada kar liya kya
jo yaksar jaan hai us ke badan se
kaho kuchh istifaada kar liya kya
bahut katra rahe ho mughbachon se
gunaah-e-tark-e-baada kar liya kya
yahan ke log kab ke ja chuke hain
safar jaada-b-jaada kar liya kya
uthaaya ik quadam tu ne na us tak
bahut apne ko maanda kar liya kya
tum apni kaj-kulaahi haar baithin
badan ko be-libaada kar liya kya
bahut nazdeek aati ja rahi ho
bichhadne ka iraada kar liya kya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
bas ik ghubaar taur guman ka hai tah b tah
yaani nazar bhi kuchh nahi manzar bhi kuchh nahi
hai ab toh ek jaal sukoon hameeshgi
parwaaz ka toh zikr hi kya par bhi kuchh nahi
kitna daraaؤna hai ye shahar nabod w bood
aisa daraaؤna ki yahan dar bhi kuchh nahi
pahloo mein hai jo mere kahin aur hai wo shakhs
yaani wafa ahad ka bistar bhi kuchh nahi
nisbat mein un ki jo hai aziyyat wo hai magar
shah rag bhi koi shay nahi aur sar bhi kuchh nahi
yaaran tumhein jo mujh se gila hai toh kis liye
mujh ko toh atraaz khuda par bhi kuchh nahi