apne sab yaar kaam kar rahe hain
aur ham hain ki naam kar rahe hain
tegh-baazi ka shauque apni jagah
aap toh quatl-e-aam kar rahe hain
-o-tahseen ka ye shor hai kyoon
ham toh khud se kalaam kar rahe hain
ham hain masroof-e-intizaam magar
jaane kya intizaam kar rahe hain
hai wo bechaargi ka haal ki ham
har kisi ko salaam kar rahe hain
ek quattaala chahiye ham ko
ham ye elaan-e-aam kar rahe hain
kya bhala saaghar-e-sifaal ki ham
naaf-pyaale ko jaam kar rahe hain
ham toh aae the arz-e-matlab ko
aur wo ehtiraam kar rahe hain
na uthe aah ka dhuan bhi ki wo
koo-e- mein khiraam kar rahe hain
us ke honton pe rakh ke hont apne
baat hi ham tamaam kar rahe hain
ham ajab hain ki us ke kooche mein
be-sabab dhoom-dhaam kar rahe hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
bas ik ghubaar taur guman ka hai tah b tah
yaani nazar bhi kuchh nahi manzar bhi kuchh nahi
hai ab toh ek jaal sukoon hameeshgi
parwaaz ka toh zikr hi kya par bhi kuchh nahi
kitna daraaؤna hai ye shahar nabod w bood
aisa daraaؤna ki yahan dar bhi kuchh nahi
pahloo mein hai jo mere kahin aur hai wo shakhs
yaani wafa ahad ka bistar bhi kuchh nahi
nisbat mein un ki jo hai aziyyat wo hai magar
shah rag bhi koi shay nahi aur sar bhi kuchh nahi
yaaran tumhein jo mujh se gila hai toh kis liye
mujh ko toh atraaz khuda par bhi kuchh nahi