aakhiri baar aah kar li hai
main ne khud se nibaah kar li hai
apne sar ik bala toh leni thi
main ne wo zulf apne sar li hai
din kis tarah guzaaroge
wasl ki bhi ab guzar li hai
jan-nisaaron pe waar kya karna
main ne bas haath mein sipar li hai
jo bhi maango udhaar doonga main
us gali mein dukaan kar li hai
mera kashkol kab se khaali tha
main ne is mein sharaab bhar li hai
aur toh kuchh nahi kiya main ne
apni haalat tabaah kar li hai
shaikh aaya tha mohatsib ko liye
main ne bhi un ki wo khabar li hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
bas ik ghubaar taur guman ka hai tah b tah
yaani nazar bhi kuchh nahi manzar bhi kuchh nahi
hai ab toh ek jaal sukoon hameeshgi
parwaaz ka toh zikr hi kya par bhi kuchh nahi
kitna daraaؤna hai ye shahar nabod w bood
aisa daraaؤna ki yahan dar bhi kuchh nahi
pahloo mein hai jo mere kahin aur hai wo shakhs
yaani wafa ahad ka bistar bhi kuchh nahi
nisbat mein un ki jo hai aziyyat wo hai magar
shah rag bhi koi shay nahi aur sar bhi kuchh nahi
yaaran tumhein jo mujh se gila hai toh kis liye
mujh ko toh atraaz khuda par bhi kuchh nahi