aaj lab-e--fishan aap ne wa nahi kiya
tazkira-e-khajista-e-aab-o-hawa nahi kiya
kaise kahein ki tujh ko bhi ham se hai waasta koi
tu ne toh ham se aaj tak koi gila nahi kiya
jaane tiri nahi ke saath kitne hi jabr the ki the
main ne tire lihaaz mein tera kaha nahi kiya
mujh ko ye hosh hi na tha tu mire baazuon mein hai
yaani tujhe abhi talak main ne riha nahi kiya
tu bhi kisi ke baab mein ahad-shikan ho ghaaliban
main ne bhi ek shakhs ka quarz ada nahi kiya
han wo -e-naaz bhi ab nahi maajra-talab
ham ne bhi ab ki fasl mein shor bapa nahi kiya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
bas ik ghubaar taur guman ka hai tah b tah
yaani nazar bhi kuchh nahi manzar bhi kuchh nahi
hai ab toh ek jaal sukoon hameeshgi
parwaaz ka toh zikr hi kya par bhi kuchh nahi
kitna daraaؤna hai ye shahar nabod w bood
aisa daraaؤna ki yahan dar bhi kuchh nahi
pahloo mein hai jo mere kahin aur hai wo shakhs
yaani wafa ahad ka bistar bhi kuchh nahi
nisbat mein un ki jo hai aziyyat wo hai magar
shah rag bhi koi shay nahi aur sar bhi kuchh nahi
yaaran tumhein jo mujh se gila hai toh kis liye
mujh ko toh atraaz khuda par bhi kuchh nahi