zindagi ki kahaani hai
chashm-e-anjum mein bhi toh paani hai
be-niyaazaana sun liya -e-dil
meharbaani hai meharbaani hai
wo bhala meri baat kya maane
us ne apni bhi baat maani hai
shola-e-dil hai ye ki shola-saaz
yaa tira shola-e-jawaani hai
wo kabhi rang wo kabhi khushboo
gaah gul gaah raat-raani hai
ban ke masoom sab ko taad gai
aankh us ki badi siyaani hai
aap-beeti kaho ki jag-beeti
har kahaani miri kahaani hai
donon aalam hain jis ke zer-e-nagin
dil usi gham ki raajdhaani hai
ham toh khush hain tiri jafa par bhi
be-sabab teri sargiraani hai
sar-b-sar ye faraaz-e-mahr-o-quamar
teri uthti hui jawaani hai
aaj bhi sun rahe hain quissa-e-ishq
go kahaani bahut puraani hai
zabt keeje toh dil hai angaara
aur agar roiye toh paani hai
hai thikaana ye dar hi us ka bhi
dil bhi tera hi aastaani hai
un se aise mein jo na ho jaae
nau-jawaani hai nau-jawaani hai
dil mira aur ye gham-e-duniyaa
kya tire gham ki paasbaani hai
gardish-e-chashm-e-saaqui-e-dauran
daur-e-aflaak ki bhi paani hai
ai lab-e-naaz kya hain wo asraar
khaamushi jin ki tarjumaani hai
mai-kadon ke bhi hosh udne lage
kya tiri aankh ki jawaani hai
khud-kushi par hai aaj aamaada
are duniyaa badi diwaani hai
koi izhar-e-naa-khushi bhi nahi
bad-gumaani si bad-gumaani hai
mujh se kahta tha kal farishta-e-ishq
zindagi hijr ki kahaani hai
bahar-e-hasti bhi jis mein kho jaae
boond mein bhi wo be-karaani hai
mil gae khaak mein tire ushshaaque
ye bhi ik amr-e-aasmaani hai
zindagi intizaar hai tera
ham ne ik baat aaj jaani hai
kyoon na ho gham se hi quimaash us ka
husn tasweer-e-shaadmaani hai
sooni duniyaa mein ab toh main hoon aur
maatam-e-ishq-e-aan-jahaani hai
kuchh na poochho firaaque ahad-e-shabaab
raat hai neend hai kahaani hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.