zer-o-bam se saaz-e-khilqat ke jahan banta gaya
ye zamin banti gai ye aasman banta gaya
daastaan-e-jaur-e-behad khoon se likhta raha
quatra quatra ashk-e- ka be-karan banta gaya
-e-tanha se huin aabaad kitni manzilein
ik musafir kaarwan-dar-kaarwan banta gaya
main tire jis gham ko apna jaanta tha wo bhi toh
zeb-e-unwaan-e-hadees-e-deegran banta gaya
baat nikle baat se jaise wo tha tera bayan
naam tera daastan-dar-daastan banta gaya
ham ko hai maaloom sab roodaad-e-ilm-o-falsafa
han har imaan-o-yaquin waham-o-guman banta gaya
main kitaab-e-dil mein apna haal-e-gham likhta raha
har waraque ik baab-e-taareekh-e-jahan banta gaya
bas usi ki tarjumaani hai mire ashaaar mein
jo sukoot-e-raaz rangin daastan banta gaya
main ne saumpa tha tujhe ik kaam saari umr mein
wo bigadta hi gaya ai dil kahan banta gaya
waardaat-e-dil ko dil hi mein jagah dete rahe
har hisaab-e-gham hisaab-e-dostan banta gaya
meri ghutti mein padi thi ho ke hal urdoo zaban
jo bhi main kahta gaya husn-e-bayan banta gaya
waqt ke haathon yahan kya kya khazaane lut gae
ek tera gham ki ganj-e-shaaeegan banta gaya
sar-zameen-e-hind par aqwaam-e-aalam ke firaaque
quafile baste gae hindostan banta gaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.