zamin badli falak badla mazaaque-e- badla
tamaddun ke quadeem aqudaar badle aadmi badla
-o-aharman badle wo imaan-e-dui badla
hadood-e-khair-o-shar badle mazaaque-e-kaafiri badla
nae insaan ka jab daur-e-khud-naa-aaghi badla
rumooz-e-be-khudi badle taquaza-e-khudi badla
badalte ja rahe hain ham bhi duniyaa ko badalne mein
nahi badli abhi duniyaa toh duniyaa ko abhi badla
nai manzil ke meer-e-kaarwan bhi aur hote hain
puraane khizr-e-rah badle wo tarz-e-rahabri badla
kabhi socha bhi hai ai nazm-e-kohna ke khuda-wando
tumhaara hashr kya hoga jo ye aalam kabhi badla
udhar pichhle se ahal-e-maal-o-zar par raat bhaari hai
idhar bedaari-e-jamhoor ka andaaz bhi badla
zahe soz-e-gham-e-aadam khusha saaz-e-dil-e-aadam
isi ik shama ki lau ne jahaan-e-teergi badla
nae mansoor hain sadiyon puraane shekh-o-quazi hain
na fatwe kufr ke badle na uzr-e-daar hi badla
bataae toh bataae us ko teri shokhi-e-pinhan
tiri chashm-e-tawajjoh hai ki tarz-e-be-rukhi badla
b-faiz-e-aadam-e-khaaki zamin sona ugalti hai
usi zarre ne daur-e-mehar-o-maah-o-mushatri badla
sitaare jaagte hain raat lat chhatkaae soti hai
dabe paanw kisi ne aa ke khawaab-e-zindagi badla
firaaque ham-nawa-e-meer-o-ghaalib ab nae naghme
wo bazm-e-zindagi badli wo rang-e-shaairi badla
Responses
No comments yet. Be the first to respond.