ye nikahton ki narm-rawi ye hawa ye
yaad aa rahe hain ko toote taalluquat
maayoosiyon ki god mein dam todta hai ishq
ab bhi koi bana le toh bigdi nahi hai baat
kuchh aur bhi toh ho in ishaaraat ke siwa
ye sab toh ai nigaah-e-karam baat baat baat
ik umr kat gai hai tire intizaar mein
aise bhi hain ki kat na saki jin se ek raat
ham ahal-e-intizaar ke aahat pe kaan the
thandi hawa thi gham tha tira dhal chali thi raat
yoon toh bachi bachi si uthi wo nigaah-e-naaz
duniyaa-e-dil mein ho hi gai koi waardaat
jin ka suraagh pa na saki gham ki rooh bhi
naadan hue hain ishq mein aise bhi saanehaat
har sai o har amal mein mohabbat ka haath hai
taameer-e-zindagi ke samajh kuchh muharrikaat
us ja tiri nigaah mujhe le gai jahan
leti ho jaise saans ye be-jaan kaaenaat
kya neend aae us ko jise jagna na aae
jo din ko din kare wo kare raat ko bhi raat
dariya ke madd-o-jazr bhi paani ke khel hain
hasti hi ke karishme hain kya maut kya hayaat
ahal-e-raza mein shaan-e-baghaawat bhi ho zara
itni bhi zindagi na ho paaband-e-rasmiyaat
ham ahal-e-gham ne rang-e-zamaana badal diya
koshish toh ki sabhi ne magar ban pade ki baat
paida kare zameen nai aasman naya
itna toh le koi asar-e-daur-kaaenaat
shaair hoon gahri neend mein hain jo haqueequtein
chaunka rahe hain un ko bhi mere tawahhumaat
mujh ko toh gham ne fursat-e-gham bhi na di firaaque
de fursat-e-hayaat na jaise gham-e-hayaat
Responses
No comments yet. Be the first to respond.