ye narm narm hawa jhilmila rahe hain
tire khayaal ki se bas rahe hain dimaagh
dilon ko tere tabassum ki yaad yoon aai
ki jagamga uthein jis tarah mandiron mein charaagh
jhalakti hai khinchi shamsheer mein nai duniyaa
hayaat o maut ke milte nahi hain aaj dimaagh
hareef-e-seena-e-majrooh o aatish-e-gham-e-ishq
na gul ki chaak-garebaaniyan na laale ke daagh
wo jin ke haal mein lau de uthe gham-e-farda
wahi hain anjuman-e-zindagi ke chashm-o-charaagh
tamaam shola-e-gul hai tamaam mauj-e-bahaar
ki ta-had-e-nigah-e-shauque lahalhaate hain baagh
nai zameen naya aasman nai duniyaa
suna toh hai ki mohabbat ko in dinon hai faraagh
jo tohamtein na uthin ik jahan se un ke samet
gunaahgaar-e-mohabbat nikal gae be-daagh
jo chhup ke taaron ki aankhon se paanw dharta hai
usi ke naqsh-e-kaf-e-pa se jal uthe hain charaagh
jahaan-e-raaz hui ja rahi hai aankh tiri
kuchh is tarah wo dilon ka laga rahi hai suraagh
zamaana kood pada aag mein yahi kah kar
ki khoon chaat ke ho jaaegi ye aag bhi baagh
nigaahein matla-e-nau par hain ek aalam ki
ki mil raha hai kisi phootti kiran ka suraagh
dilon mein daagh-e-mohabbat ka ab ye aalam hai
ki jaise neend mein doobe hon pichhli raat charaagh
firaaque bazm-e-charaaghan hai mahfil-e-rindan
saje hain pighli hui aag se chhalakte ayaagh
Responses
No comments yet. Be the first to respond.