waqt-e-ghuroob aaj karaamaat ho gai
zulfon ko us ne khol diya ho gai
kal tak toh us mein aisi karaamat na thi koi
wo aankh aaj quibla-e-haajaat ho gai
ai soz-e- tu ne mujhe kya bana diya
meri har ek saans munaajaat ho gai
ochhi nigaah daal ke ik samt rakh diya
dil kya diya ghareeb ki saughaat ho gai
kuchh yaad aa gai thi wo zulf-e-shikan-shikan
hasti tamaam chashma-e-zulmaat ho gai
ahal-e-watan se door judaai mein yaar ki
sabr aa gaya firaaque karaamaat ho gai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.