toor tha kaaba tha tha jalwa-zaar-e-yaar tha
sab kuchh tha magar phir aalam-e-asraar tha
nashsha-e-sad-jaam kaif-e-intizaar-e-yaar tha
hijr mein thahra hua dil saaghar-e-sarshaar tha
alwidaaa ai bazm-e-anjum hijr ki shab al-firaaque
ta-ba-e-daur-e-zindagaani intizaar-e-yaar tha
ek ada se be-niyaaz-e-qurb-o-doori kar diya
maawra-e-wasl-o-hijran husn ka iquraar tha
jauhar-e-aaeena-e-aalam bane aansoo mire
yoon toh sach ye hai ki rona ishq mein bekaar tha
shokhi-e-raftaar wajh-e-hasti-e-barbaad thi
zindagi kya thi ghubaar-e-rahguzaar-e-yaar tha
ulfat-e-dereena ka jab zikr ishaaron mein kiya
muskura kar mujh se poochha tum ko kis se pyar tha
dil-dukhe roe hain shaayad is jagah ai koo-e-dost
khaak ka itna chamak jaana zara dushwaar tha
zarra zarra aaina tha khud-numaai ka firaaque
sar-b-sar sahra-e-aalam jalwa-zaar-e-yaar tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.