tumhein kyoonkar bataaein ko kya samajhte hain
samajh lo saans lena khud-kushi karna samajhte hain
kisi badmast ko raaz-aashna sab ka samajhte hain
-e-yaar tujh ko kya bataaein kya samajhte hain
bas itne par hamein sab log deewaana samajhte hain
ki is duniyaa ko ham ik doosri duniyaa samajhte hain
kahan ka wasl tanhaai ne shaayad bhes badla hai
tire dam bhar ke mil jaane ko ham bhi kya samajhte hain
umeedon mein bhi un ki ek shaan-e-be-niyaazi hai
har aasaani ko jo dushwaar ho jaana samajhte hain
yahi zid hai toh khair aankhein uthaate hain ham us jaanib
magar ai dil ham is mein jaan ka khatka samajhte hain
kahin hon tere deewaane thahar jaaein toh zindan hai
jidhar ko munh utha kar chal pade sahra samajhte hain
jahan ki phitrat-e-begaana mein jo kaif-e-gham bhar dein
wahi jeena samajhte hain wahi marna samajhte hain
hamaara zikr kya ham ko toh hosh aaya mohabbat mein
magar ham quais ka deewaana ho jaana samajhte hain
na shokhi shokh hai itni na purkaar itni purkaari
na jaane log teri saadgi ko kya samajhte hain
bhula din ek muddat ki jafaaein us ne ye kah kar
tujhe apna samajhte the tujhe apna samajhte hain
ye kah kar aabla-pa raundate jaate hain kaanton ko
jise talwon mein kar lein jazb use sahra samajhte hain
ye hasti neesti sab mauj-khezi hai mohabbat ki
na ham quatra samajhte hain na ham dariya samajhte hain
firaaque is gardish-e-ayyaam se kab kaam nikla hai
sahar hone ko bhi ham raat kat jaana samajhte hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.