tez ehsaas-e-khudi darkaar hai
ko zindagi darkaar hai
jo chadha jaae khumistaan-e-jahan
han wahi lab-tishnagi darkaar hai
dewtaaon ka se hoga kaam
aadmi ko aadmi darkaar hai
sau gulistan jis udaasi par nisaar
mujh ko wo afsurdagi darkaar hai
shaaeri hai sar-basar tahzeeb-e-qualb
us ko gham shaaistagi darkaar hai
shola mein laata hai jo soz-o-gudaaz
wo khuloos-e-baatni darkaar hai
khoobi-e-lafz-o-bayan se kuchh siwa
shaaeri ko saahiri darkaar hai
quadir-e-mutlaque ko bhi insaan ki
sunte hain be-chaargi darkaar hai
aur honge taalib-e-madah-e-jahan
mujh ko bas teri khushi darkaar hai
aql mein yoon toh nahi koi kami
ik zara deewaangi darkaar hai
hosh waalon ko bhi meri raay mein
ek goona be-khudi darkaar hai
khatra-e-bisyaar-daani ki quasam
ilm mein bhi kuchh kami darkaar hai
dosto kaafi nahi chashm-e-khirad
ishq ko bhi raushani darkaar hai
meri ghazlon mein haquaeque hain faquat
aap ko toh shaaeri darkaar hai
tere paas aaya hoon kahne ek baat
mujh ko teri dosti darkaar hai
main jafaaon ka na karta yoon gila
aaj teri naa-khushi darkaar hai
us ki zulf aaraasta-pairaasta
ik zara si barahmi darkaar hai
zinda-dil tha taaza-dam tha hijr mein
aaj mujh ko be-dili darkaar hai
halqua halqua gesu-e-shab rang-e-yaar
mujh ko teri abatri darkaar hai
aql ne kal mere kaanon mein kaha
mujh ko teri zindagi darkaar hai
tez-rau tahzeeb-e-aalam ko firaaque
ik zara aahistagi darkaar hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.