shaam-e- kuchh us nigaah-e-naaz ki baatein karo
be-khudi badhti chali hai raaz ki baatein karo
ye sukoot-e-naaz ye ki ragon ka tootna
khaamushi mein kuchh shikast-e-saaz ki baatein karo
nikhat-e-zulf-e-pareshan daastaan-e-shaam-e-gham
subh hone tak isi andaaz ki baatein karo
har rag-e-dil wajd mein aati rahe dukhti rahe
yoonhi us ke ja-o-beja naaz ki baatein karo
jau adam ki jaan hai jo hai payaam-e-zindagi
us sukoot-e-raaz us aawaaz ki baatein karo
ishq ruswa ho chala be-kaif sa bezaar sa
aaj us ki nargis-e-ghammaaz ki baatein karo
naam bhi lena hai jis ka ik jahaan-e-rang-o-boo
dosto us nau-bahaar-e-naaz ki baatein karo
kis liye uzr-e-taghaaphul kis liye ilzaam-e-ishq
aaj charkh-e-tafarqua-parwaaz ki baatein karo
kuchh quafas ki teeliyon se chhan raha hai noor sa
kuchh faza kuchh hasrat-e-parwaaz ki baatein karo
jo hayaat-e-jaawidan hai jo hai marg-e-naa-gahan
aaj kuchh us naaz us andaaz ki baatein karo
ishq-e-be-parwa bhi ab kuchh naa-shakeba ho chala
shokhi-e-husn-e-karishma-saaz ki baatein karo
jis ki furqat ne palat di ishq ki kaaya firaaque
aaj us isa-nafas dam-saaz ki baatein karo
Responses
No comments yet. Be the first to respond.