samajhta hoon ki tu mujh se juda hai
-e-furqat mujhe kya ho gaya hai
tira kya hai bas ye jaanta hoon
ki meri zindagi mujh se khafa hai
kabhi khush kar gai mujh ko tiri yaad
kabhi aankhon mein aansoo aa gaya hai
hijaabon ko samajh baitha main jalwa
nigaahon ko bada dhoka hua hai
bahut door ab hai dil se yaad teri
mohabbat ka zamaana aa raha hai
na ji khush kar saka tera karam bhi
mohabbat ko bada dhoka raha hai
kabhi tadpa gaya hai dil tira gham
kabhi dil ko sahaara de gaya hai
shikaayat teri dil se karte karte
achaanak pyar tujh par aa gaya hai
jise chaunka ke tu ne pher li aankh
wo tera dard ab tak jaagta hai
jahan hai maujzan rangeeni-e-husn
wahin dil ka kanwal lahra raha hai
gulaabi hoti jaati hain fazaaein
koi is rang se sharma raha hai
mohabbat tujh se thi quabl-az-mohabbat
kuchh aisa yaad mujh ko aa raha hai
juda aaghaaz se anjaam se door
mohabbat ik musalsal maajra hai
khuda-haafiz magar ab zindagi mein
faquat apna sahaara rah gaya hai
mohabbat mein firaaque itna na gham kar
zamaane mein yahi hota raha hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.