ruki ruki si -e-marg khatm par aai
wo pau phati wo nai nazar aai
ye mod wo hai ki parchhaaiyan bhi dengi na saath
musaafiron se kaho us ki rahguzar aai
faza tabassum-e-subh-e-bahaar thi lekin
pahunch ke manzil-e-jaanan pe aankh bhar aai
kahin zamaan-o-makan mein hai naam ko bhi sukoon
magar ye baat mohabbat ki baat par aai
kisi ki bazm-e-tarab mein hayaat batti thi
umeed-waaron mein kal maut bhi nazar aai
kahan har ek se insaaniyat ka baar utha
ki ye bala bhi tire aashiquon ke sar aai
dilon mein aaj tiri yaad muddaton ke baad
b-chehra-e-mutbassim b-chashm-e-tar aai
naya nahi hai mujhe marg-e-naa-gahan ka payaam
hazaar rang se apni mujhe khabar aai
faza ko jaise koi raag cheerta jaae
tiri nigaah dilon mein yoonhi utar aai
zara wisaal ke baad aaina toh dekh ai dost
tire jamaal ki dosheezgi nikhar aai
tira hi aks sarishk-e-gham-e-zamaana mein tha
nigaah mein tiri tasweer si utar aai
ajab nahi ki chaman-dar-chaman bane har phool
kali kali ki saba ja ke god bhar aai
shab-e-firaaque uthe dil mein aur bhi kuchh dard
kahoon ye kaise tiri yaad raat-bhar aai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.