ras mein dooba hua lahraata badan kya kahna
karawtein leti hui subh-e- kya kahna
nigah-e-naaz mein ye pichhle pahar rang-e-khumaar
neend mein doobi hui chandr-kiran kya kahna
baagh-e-jannat pe ghata jaise baras ke khul jaae
ye suhaani tiri khushboo-e-badan kya kahna
thahri thahri si nigaahon mein ye wahshat ki kiran
chaunke chaunke se ye aahoo-e-khutan kya kahna
roop sangeet ne dhaara hai badan ka ye rachaaw
tujh pe lahloot hai be-saakhta-pan kya kahna
jaise lahraae koi shola-kamar ki ye lachak
sar-b-sar aatish-e-sayyaal badan kya kahna
jis tarah jalwa-e-firdos hawaaon se chhine
pairhan mein tire rangeeni-e-tan kya kahna
jalwa-o-parde ka ye rang dam-e-nazzaara
jis tarah adh-khule ghunghat mein dulhan kya kahna
dam-e-taqureer khil uthte hain gulistan kya kya
yoon toh ik ghuncha-e-nauras hai dahan kya kahna
ke aaeene mein is tarah utarti hai nigaah
jaise paani mein lachak jaae kiran kya kahna
lahalhaata hua ye quad ye lahakta joban
zulf so mahki hui raaton ka ban kya kahna
tu mohabbat ka sitaara toh jawaani ka suhaag
husn lau deta hai laal-e-yaman kya kahna
teri aawaaz savera tiri baatein tadka
aankhein khul jaati hain ejaaz-e-sukhan kya kahna
zulf-e-shab-goon ki chamak paikar-e-seemin ki damak
deep-maala hai sar-e-gang-o-jaman kya kahna
neelgoon shabanmi kapdon mein badan ki ye jot
jaise chhanti ho sitaaron ki kiran kya kahna
Responses
No comments yet. Be the first to respond.