bhi neend bhi kahaani bhi
haae kya cheez hai jawaani bhi
ek paighaam-e-zindagaani bhi
aashiqui marg-e-naa-gahaani bhi
is ada ka tiri jawaab nahi
meharbaani bhi sargiraani bhi
dil ko apne bhi the duniyaa mein
kuchh balaaein thin aasmaani bhi
mansab-e-dil khushi lutaana hai
gham-e-pinhan ki paasbaani bhi
dil ko sholon se karti hai sairaab
zindagi aag bhi hai paani bhi
shaad-kaamon ko ye nahi taufeeque
dil-e-gham-gin ki shaadmaani bhi
laakh husn-e-yaquin se badh kar hai
un nigaahon ki bad-gumaani bhi
tangana-e-dil-e-malool mein hai
bahar-e-hasti ki be-karaani bhi
ishq-e-naakaam ki hai parchhaain
shaadmaani bhi kaamraani bhi
dekh dil ke nigaar-khaane mein
zakhm-e-pinhan ki hai nishaani bhi
khalque kya kya mujhe nahi kahti
kuchh sunoon main tiri zabaani bhi
aae taareekh-e-ishq mein sau baar
maut ke daur-e-darmiyaani bhi
apni maasoomiyat ke parde mein
ho gai wo nazar siyaani bhi
din ko sooraj-mukhi hai wo nau-gul
raat ko hai wo raat-raani bhi
dil-e-bad-naam tere baare mein
log kahte hain ik kahaani bhi
waza karte koi nai duniyaa
ki ye duniyaa hui puraani bhi
dil ko aadaab-e-bandagi bhi na aae
kar gae log hukmaraani bhi
jaur-e-kam-kam ka shukriya bas hai
aap ki itni meharbaani bhi
dil mein ik hook bhi uthi ai dost
yaad aai tiri jawaani bhi
sar se pa tak supurdagi ki ada
ek andaaz-e-turkamaani bhi
paas rahna kisi ka raat ki raat
mehmaani bhi mezbaani bhi
ho na aks-e-jabeen-e-naaz ki hai
dil mein ik noor-e-kahakshaani bhi
zindagi ain deed-e-yaar firaaque
zindagi hijr ki kahaani bhi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.