narm faza ki karawtein ko dukha ke rah gain
thandi hawaaein bhi tiri dila ke rah gain
shaam bhi thi dhuan dhuan husn bhi tha udaas udaas
dil ko kai kahaaniyan yaad si aa ke rah gain
mujh ko kharaab kar gain neem-nigaahiyan tiri
mujh se hayaat o maut bhi aankhein chura ke rah gain
husn-e-nazar-fareb mein kis ko kalaam tha magar
teri adaaein aaj toh dil mein sama ke rah gain
tab kahin kuchh pata chala sidque-o-khuloos-e-husn ka
jab wo nigaahein ishq se baatein bana ke rah gain
tere khiraam-e-naaz se aaj wahan chaman khile
faslein bahaar ki jahan khaak uda ke rah gain
poochh na un nigaahon ki turfa karishma-saaziyan
fitne sula ke rah gain fitne jaga ke rah gain
taaron ki aankh bhi bhar aai meri sada-e-dard par
un ki nigaahein bhi tira naam bata ke rah gain
uf ye zamin ki gardishein aah ye gham ki thokrein
ye bhi toh bakht-e-khufta ke shaane hila ke rah gain
aur toh ahal-e-dard kaun sambhaalta bhala
han teri shaadmaaniyan un ko rula ke rah gain
yaad kuchh aain is tarah bhooli hui kahaaniyan
khoe hue dilon mein aaj dard utha ke rah gain
saaz-e-nashaat-e-zindagi aaj laraz laraz utha
kis ki nigaahein ishq ka dard suna ke rah gain
tum nahi aae aur raat rah gai raah dekhti
taaron ki mahfilein bhi aaj aankhein bichha ke rah gain
jhoom ke phir chalin hawaaein wajd mein aain phir fazaaein
phir tiri yaad ki ghataaein seenon pe chha ke rah gain
qualb o nigaah ki ye id uf ye maaal-e-qurb-o-deed
charkh ki gardishein tujhe mujh se chhupa ke rah gain
phir hain wahi udaasiyan phir wahi sooni kaaenaat
ahal-e-tarab ki mahfilein rang jama ke rah gain
kaun sukoon de saka gham-zadgaan-e-ishq ko
bheegti raatein bhi firaaque aag laga ke rah gain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.