mai-kade mein aaj ik duniyaa ko izn-e-aam tha
daur-e-jaam-e-be-khudi begaana-e-ayyaam tha
rooh larzan aankh mahaw-e-deed naakaam tha
ka aaghaaz bhi shaaista-e-anjaam tha
rafta rafta ishq ko tasweer-e-gham kar hi diya
husn bhi kitna kharaab-e-gardish-e-ayyaam tha
gham-kade mein dahar ke yoon toh andhera tha magar
ishq ka daagh-e-siyah-bakhti charaagh-e-shaam tha
teri duzdeeda-nigaahi yoon toh naa-mahsoos thi
han magar daftar ka daftar husn ka paighaam tha
shaaque ahal-e-shauque par thin us ki ismat-daariyan
sach hai lekin husn dar-parda bahut bad-naam tha
mahaw the gulzaar-e-ranga-rang ke naqsh-o-nigaar
wahashtein thi dil ke sannaate the dasht-e-shaam tha
be-khata tha husn har jaur-o-jafa ke baad bhi
ishq ke sar ta-abad ilzaam hi ilzaam tha
yoon gareban-chaak duniyaa mein nahi hota koi
har khula gulshan shaheed-e-gardish-e-ayyaam tha
dekh husn-e-sharmagin dar-parda kya laaya hai rang
ishq ruswa-e-jahan badnaam hi badnaam tha
raunaque-e-bazm-e-jahan tha go dil-e-gham-gin firaaque
sard tha afsurda tha mahroom tha naakaam tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.