kuchh na kuchh ki taaseer ka iquraar toh hai
us ka ilzaam-e-taghaaful pe kuchh inkaar toh hai
har fareb-e--e-duniyaa se khabar-daar toh hai
tera deewaana kisi kaam mein hushyaar toh hai
dekh lete hain sabhi kuchh tire mushtaaque-e-jamaal
khair deedaar na ho hasrat-e-deedaar toh hai
maaarke sar hon usi barque-e-nazar se ai husn
ye chamakti hui chalti hui talwaar toh hai
sar patakne ko patakta hai magar ruk ruk kar
tere wahshi ko khayaal-e-dar-o-deewar toh hai
ishq ka shikwa-e-beja bhi na be-kaar gaya
na sahi jaur magar jaur ka iquraar toh hai
tujh se himmat toh padi ishq ko kuchh kahne ki
khair shikwa na sahi shukr ka izhar toh hai
is mein bhi raabta-e-khaas ki milti hai jhalak
khair iquraar-e-mohabbat na ho inkaar toh hai
kyoon jhapak jaati hai rah rah ke tiri barque-e-nigaah
ye jhijak kis liye ik kushta-e-deedaar toh hai
kai unwaan hain mamnoon-e-karam karne ke
ishq mein kuchh na sahi zindagi be-kaar toh hai
sahar-o-shaam sar-e-anjuman-e-naaz na ho
jalwa-e-husn toh hai ishq-e-siyahkaar toh hai
chaunk uthte hain firaaque aate hi us shokh ka naam
kuchh saraaseemgi-e-ishq ka iquraar toh hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.