koi paighaam-e-mohabbat lab-e-ejaaz toh de
ki aankh bhi khul jaaegi aawaaz toh de
maqsad-e- ham-aahangi-e-juzw-o-kul hai
dard hi dard sahi dil boo-e-dam-saaz toh de
chashm-e-makhmoor ke unwaan-e-nazar kuchh toh khulein
dil-e-ranjoor dhadakne ka kuchh andaaz toh de
ik zara ho nasha-e-husn mein andaaz-e-khumaar
ik jhalak ishq ke anjaam ki aaghaaz toh de
jo chhupaae na chhupe aur bataae na bane
dil-e-aashique ko in aankhon se koi raaz toh de
muntazir itni kabhi thi na faza-e-aafaaque
chhedne hi ko hoon pur-dard ghazal saaz toh de
ham aseeraan-e-quafas aag laga sakte hain
fursat-e-naghma kabhi hasrat-e-parwaaz toh de
ishq ik baar mashiyyat ko badal sakta hai
indiya apna magar kuchh nigah-e-naaz toh de
qurb o deedaar toh maaloom kisi ka phir bhi
kuchh pata sa falak-e-tafarqua-pardaaz toh de
manzilein gard ki maanind udi jaati hain
ablaque-e-dahar kuchh andaaz-e-tag-o-taaz toh de
kaan se ham toh firaaque aankh ka lete hain kaam
aaj chhup kar koi aawaaz par aawaaz toh de
Responses
No comments yet. Be the first to respond.