jaur-o-be-mehri-e-ighmaaz pe kya rota hai
meharban bhi koi ho jaaega jaldi kya hai
kho diya tum ko toh ham poochhte phirte hain yahi
jis ki taqudeer bigad jaae wo karta kya hai
ka ik kaam jo hota nahi ik muddat se
tum zara haath laga do toh hua rakkha hai
nigah-e-shokh mein aur mein hain chotein kya kya
aaj tak ham na samajh paae ki jhagda kya hai
ishq se tauba bhi hai husn se shikwe bhi hazaar
kahiye toh hazrat-e-dil aap ka mansha kya hai
zeenat-e-dosh tira naama-e-aamaal na ho
teri dastaar se waaiz ye latakta kya hai
han abhi waqt ka aaeena dikhaae kya kya
dekhte jaao zamaana abhi dekha kya hai
na yagaane hain na begaane tiri mahfil mein
na koi ghair yahan hai na koi apna hai
nigah-e-mast ko jumbish na hui go sar-e-bazm
kuchh toh is jaam-e-laba-lab se abhi chhalka hai
raat-din phirti hai palkon ke jo saae saae
dil mira us nigah-e-naaz ka deewaana hai
ham judaai se bhi kuchh kaam toh le hi lenge
be-niyaazaana taalluque hi chhuta achchha hai
un se badh-chadh ke toh ai dost hain yaadein in ki
naaz-o-andaaz-o-ada mein tiri rakkha kya hai
aisi baaton se badalti hai kahin fitrat-e-husn
jaan bhi de de agar koi toh kya hota hai
tiri aankhon ko bhi inkaar tiri zulf ko bhi
kis ne ye ishq ko deewaana bana rakkha hai
dil tira jaan tiri aah tiri ashk tire
jo hai ai dost wo tera hai hamaara kya hai
dar-e-daulat pe duaaein si suni hain main ne
dekhiye aaj faqueeron ka kidhar phera hai
tujh ko ho jaaenge shaitaan ke darshan waaiz
daal kar munh ko gareban mein kabhi dekha hai
ham kahe dete hain chaalon mein na aao un ki
sarwat-o-jaah ke ishwon se bacho dhoka hai
yahi gar aankh mein rah jaae toh hai chingaari
quatra-e-ashk jo bah jaae toh ik dariya hai
zulf-e-shab-goon ke siwa nargis-e-jaadoo ke siwa
dil ko kuchh aur balaaon ne bhi aa ghera hai
lab-e-ejaaz ki saugand ye jhankaar thi kya
teri khaamoshi ke maanind abhi kuchh toota hai
daar par gaah nazar gaah soo-e-shahar-e-nigaar
kuchh sunein ham bhi toh ai ishq iraada kya hai
aa ki ghurbat-kada-e-dahar mein ji bahlaaein
ai dil us jalwa-gah-e-naaz mein kya rakkha hai
zakhm hi zakhm hoon main subh ki maanind firaaque
raat bhar hijr ki lazzat se mazaa loota hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.