-o-wisaal-e-yaar ka parda utha diya
khud badh ke ne mujhe mera pata diya
gard-o-ghubaar-e-hasti-e-faani uda diya
ai keemiya-e-ishq mujhe kya bana diya
wo saamne hai aur nazar se chhupa diya
ai ishq-e-be-hijaab mujhe kya dikha diya
wo shaan-e-khaamushi ki bahaarein hain muntazir
wo rang-e-guftugoo ki gulistan bana diya
dam le rahi thin husn ki jab sehar-kaariyan
in waqpha-ha-e-kuphr ko iman bana diya
maaloom kuchh mujhi ko hain un ki rawaaniyan
jin quatra-ha-e-ashk ko dariya bana daya
ik barque-e-be-quaraar thi tamkeen-e-husn bhi
jis waqt ishq ko gham-e-sabr-aazma diya
saaqui mujhe bhi yaad hain wo tishna-kaamiyan
jin ko hareef-e-saaghar-o-meena bana diya
maaloom hai haqueeqat-e-gham-ha-e-rozgaar
duniyaa ko tere dard ne duniyaa bana diya
ai shokhi-e-nigaah-e-karam muddaton ke baad
khawaab-e-giraan-e-gham se mujhe kyoon jaga diya
kuchh shorishein taghaaful-e-pinhan mein thin jinhein
hangaama-zaar-e-hashr-e-tamannaa bana diya
badhta hi ja raha hai jamaal-e-nazar-fareb
husn-e-nazar ko husn-e-khud-aara bana diya
phir dekhna nigaah ladi kis se ishq ki
gar husn ne hijaab-e-taghaaphul utha diya
jab khoon ho chuka dil-e-hasti-e-etibaar
kuchh dard bach rahe jinhein insan bana diya
gum-karda-e-wafoor-e-gham-e-intizaar hoon
tu kya chhupa ki mujh ko mujhi se chhupa diya
raat ab hareef-e-subhah-e-quayaamat hi kyoon na ho
jo kuchh bhi ho us aankh ko ab toh jaga diya
ab main hoon aur lutf-o-karam ke takallufaat
ye kyoon hijaab-e-ranjish-e-be-ja bana diya
thi yoon toh shaam-e-hijr magar pichhli raat ko
wo dard utha firaaque ki main muskura diya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.