firaaque ik nai soorat nikal toh sakti hai
b-quaul us aankh ke duniyaa badal toh sakti hai
tire khayaal ko kuchh chup si lag gai warna
kahaaniyon se shab-e- bahal toh sakti hai
uroos-e-dahar chale kha ke thokrein lekin
quadam quadam pe jawaani ubal toh sakti hai
palat pade na kahin us ka jaadoo
ki doob kar ye chhuri kuchh uchhal toh sakti hai
bujhe hue nahi itne bujhe hue dil bhi
fasurdagi mein tabeeat machal toh sakti hai
agar tu chaahe toh gham waale shaadman ho jaaein
nigaah-e-yaar ye hasrat nikal toh sakti hai
ab itni band nahi gham-kadon ki bhi raahein
hawa-e-kooch-e-mahboob chal toh sakti hai
kade hain kos bahut manzil-e-mohabbat ke
mile na chhaanw magar dhoop dhal toh sakti hai
hayaat lau tah-e-daamaan-e-marg de utthi
hawa ki raah mein ye shama jal toh sakti hai
kuchh aur maslahat-e-jazb-e-ishq hai warna
kisi se chhut ke tabeeat sambhal toh sakti hai
azal se soi hai taqudeer-e-ishq maut ki neend
agar jagaaiye karwat badal toh sakti hai
gham-e-zamaana-o-soz-e-nihan ki aanch toh de
agar na toote ye zanjeer gal toh sakti hai
shareek-e-sharm-o-haya kuchh hai bad-gumaani-e-husn
nazar utha ye jhijak si nikal toh sakti hai
kabhi wo mil na sakegi main ye nahi kahta
wo aankh aankh mein pad kar badal toh sakti hai
badalta jaae gham-e-rozgaar ka markaz
ye chaal gardish-e-ayyaam chal toh sakti hai
wo be-niyaaz sahi dil mata-e-hech sahi
magar kisi ki jawaani machal toh sakti hai
tiri nigaah sahaara na de toh baat hai aur
ki girte girte bhi duniyaa sambhal toh sakti hai
ye zor-o-shor salaamat tiri jawaani bhi
b-quaul ishq ke saanche mein dhal toh sakti hai
suna hai barf ke tukde hain dil haseenon ke
kuchh aanch pa ke ye chaandi pighal toh sakti hai
hansi hansi mein lahoo thookte hain dil waale
ye sar-zameen magar laal ugal toh sakti hai
jo tu ne tark-e-mohabbat ko ahal-e-dil se kaha
hazaar narm ho ye baat khal toh sakti hai
are wo maut ho yaa zindagi mohabbat par
na kuchh sahi kaf-e-afsos mal toh sakti hai
hain jis ke bal pe khade sarakshon ko wo dharti
agar kuchal nahi sakti nigal toh sakti hai
hui hai garm lahu pi ke ishq ki talwaar
yoon hi jilaae ja ye shaakh phal toh sakti hai
guzar rahi hai dabe paanw ishq ki dewi
subuk-rawi se jahan ko masal toh sakti hai
hayaat se nigah-e-waapsin hai kuchh maanoos
mire khayaal se aankhon mein pal toh sakti hai
na bhoolna ye hai taakheer husn ki taakheer
firaaque aai hui maut tal toh sakti hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.