deedaar mein ik turfa deedaar aaya
har baar chhupa koi har baar aaya
chhaalon ko bayaaban bhi gulzaar nazar aaya
jab chhed par aamaada har khaar nazar aaya
subh-e-shab-e-hijran ki wo chaak-garebaani
ik aalam-e-nairangi har taar nazar aaya
ho sabr ki betaabi ummeed ki maayoosi
nairang-e-mohabbat bhi be-kaar nazar aaya
jab chashm-e-siyah teri thi chhaai hui dil par
is mulk ka har khitta taataar nazar aaya
tu ne bhi toh dekhi thi wo jaati hui duniyaa
kya aakhri lamhon mein beemaar nazar aaya
ghash kha ke gire moosa allaah-ri maayoosi
halka sa wo parda bhi deewar nazar aaya
zarra ho ki quatra ho khum-khana-e-hasti mein
makhmoor nazar aaya sarshaar nazar aaya
kya kuchh na hua gham se kya kuchh na kiya gham ne
aur yoon toh hua jo kuchh be-kaar nazar aaya
ai ishq quasam tujh ko maamoora-e-aalam ki
koi gham-e-furqat mein gham-khwaar nazar aaya
shab kat gai furqat ki dekha na firaaque aakhir
tool-e-gham-e-hijran bhi be-kaar nazar aaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.